Hello Dosto I am Mr. Rajinder Singh. Kya Apka Blogger hai Or Uspar ap bhuut Mehnat kar rahe hai Fir bhi Uspar Traffic Nahi aa Raha? Chinta na kare Yaha Apko is bat ka Answer milega. Bhuut sare Bloggers aise hai jo blogger se Income Karna chahte hai or blogger bhi banate hai par uspar traffic nahi aata is liye unka confidence chala jaata hai or blogging karna shod dete hai. Blogger par traffic aane ke liye thoda samay lagta hai lagbhag 4-5 Months is liye blogging karte samay kisi bhi bat ki garbad Na kare sab kam aaram se kare. Ye Problem mujhe bhi hua tha.
Starting mai maine Bhuut sare Blogger banaye par unpar traffic na aane ke karan delete kar diya. lekin dhire dhire traffic aane laga or confidence badne laga. Jaise jaise aapke web site par traffic ana start hota hai aapko blogging karne mai maja aane lagta hai. Jab aap aapna Blogger Start karte hai Uspar par posting karte hai aapna content facebook par share karte hai continue aap 10 din yahi karte hai par 10 – 12 din mai aapke Blogger par traffic nahi aata toh aapka interest chala jata hai. Aisa na kare yahi kaam aap a 3 months tak karte rahe or uske baad response dekhiye apke liye aacha hi hoga. chaliye aj mai apko sikhte hai Blogger ka traffic kaise badaye .
Blogger ka Traffic Badane ke Liye Steps
Niche Diye Gye steps ko Follow kijie Es se Apke Blogger Par Traffic Bhuut Jaldi Aega Or Apka Time Bhi Waste ni hoga.
Sabse Phele Apne Mind mai Topic choose karte samay soch
samaj kar choose kare. Aisa topic choose kare jisme aapko intrest hai aur Us
topic ke bare mai Ap jyada se jyada likh pao. Aisa kabhi mat sochiye ki mai ek
Blogger banaunga usme University ke bare mai likhunga, Net bare mai bhi likhunga, Technology ke bare mai bhi
likhunga jeh galt hai. Ek hi topic par likhiye par ekdaam ache se likhiye. aap jo likh rahe ho usme quality ho user
jab padega toh usko samaj aana chahiye ke aap kis
chij ke bare mai likh rahe hai.
Responsive Site
Aapne website Blog ko responsive banaye. Aisa theme use
kare jo responsive ho, seo friendly ho or uski style aachi honi chahiye. Responsive yane
aapka blogger log jis device open kare uske Display par feet hona chahiye. Agar koi computer ya
Laptop par kholega toh aapka Blogger acha dikh raha hai lekin kisi ne mobile
par khola toh kuch samaj nahi araha toh user naraj hokar web site Close kar
dega aur badme kabhi bhi aapke website par visit nahi karega.
Image
Jab aap koi naya post bna rahe hai toh aapni post mai kam
se kam ek image use kare. Agar aap user Ko kuch samjane ki Koshish kar rahe or uske liye
aapkne 100 characters likhe toh ye 100 charecters se Barabari ki ek hi image
use kare. Website dekhne ya sun ne par Insaan ko jaldi samaj aata hai. Is liye
ek image jarur use kare.
Update
Apne Blogger par ho sake toh daily new post likhe. Google
bhi aisi sites like karta hai jo daily update hoti ho. Fir 3 months baad aapke
website par Search Engine or social media
dono se traffic ana start ho jaega.
Social Media
Sabse Phele Social media like facebook, google, twitter
in sites par Different account banaye aur apne account Main interested log add
kare. aapne account Main aise log add kare jo aapke topic Main interested Ho.
Es se aapke Blogger par bhuut jaldi traffic aayega.
Social media par aapne content daily share kare aur aapne Blogger par bhi share buttons add kare. Whatsapp aur facebook par aapne Blogger URL ke name se Group banaye aur usme aapne content share kare. Jab humari web site new hoti hai toh uspar Traffic social media se aata hai.
Social media par aapne content daily share kare aur aapne Blogger par bhi share buttons add kare. Whatsapp aur facebook par aapne Blogger URL ke name se Group banaye aur usme aapne content share kare. Jab humari web site new hoti hai toh uspar Traffic social media se aata hai.
Ye pure steps aap follow kariye uske baad aapke blogger par acha Traffic aane lagega. Ye jitna Maine
kaha hai utna aasan nahi hai apko thodi Mehnat karni padegi lekin ek bar aapke
samaj me aa gaya toh aap aapne aap sab karloge.
To kesa lga apko hmara post. Agar Apke mind mai koi Question hai to ap Comment Mai Push Sakte hai..
Website (Blog) Kaise Banate Hai in Hindi
Website (Blog) Kaise Banate Hai in Hindi
No comments:
Post a Comment