Hello Friends I Am Mr. Rajinder Singh. Mai Aj
Apko Batauga Ki Ap Kaise Laptop Ja Computer Ko Ek Computer Se Dusre Computer Ko Remotely
Operate Kar Sakte Hai.
Ek Computer Se
Dusre Computer Ko Kaise Connect Kar Sakte Hai Bho Janne Se Phele Mai Apko Bta
Deta Hu Ki Eske Kya Faiyde Hai.
Agr Koi Person
Humse Dur Hai. Example: Ek Person Delhi Mai Hai Or Dusra Person Mumbai Hai. Or Delhi
Vale Person Ke Computer Mai Koi Problem aa Rahi Hai, Jis Problem Ko Mumbai Wala
Person Thik Kar Sakta Hai. Mumbai Wala Person Es Software Ki Madad Se
Delhi Wale Person Ke Computer Ko Apne Ghar Se Operate Kar Sakta Hai.
Iske Aalawa Bhi
Ap Es Software Ko Apni Jarurt Ke Hisab Se Use Kar Sakte Hai. Toh Chaliye Jan Lete
Hai Konsa Software Hai Or Kaise Use Karna Hai.
Ek Computer Ko Dusre Computer Se Kaise Chalaye
Apko Remotly Dusre
Computer Ko Chalane Ke Liye Any Desk Software Ki Jarurt Padegi Jo Ki 2Mb Ka
Hai. Jo Apke Dono Computer Mai Install Hona Jaruri Hai. Mai Apko Step By Step
Batauga Es Software Ko Kaise Use Karna Hai :
Step 1: Sabse Pahele
To Ap Any Desk Software Ko Download Par Click Karke Download Kar Lijiye. Download
Karne Ke Badh Apko Dono Computer Mai Install Karna Hai.
Note: Jeh
Software Bilkul Free Hai. Ek Bat Ka Dhyan Rakhe Dono Computer Mai Same Version Download Kare Nahi Toh Connecting Mai Problem Ho Sakti Hai Or Dono
Computer Mai Internet Data Or WiFi On Hona Jaruri Hai.
Step 2: Any Desk
Ko Install Karne Ke Badh Aap Dono Computer Par Software Ko Open Kare.
Software Open
Karne Ke Badh Apko Ismai 2 Chije Show Hogi.
1. Any Desk - Address.
2.Partner Ko
Connect Karne Ke Liye Option.
Toh Ab Maan
Lijiye Apko Apne Computer Se Samne Wale Ka Computer Chalana Hai, Toh Aap
Unse Any Desk- Address Code Puch Lijiye.
Step 3: Ab Apko Apne Any Desk Mai Remote Desk Ke
Samne Jo Box Empty Hai Usmai Code Dalna Hai. Jo Apne Abhi Unse Pucha Hai. Uske Badh
Connect Ke Button Par Click Kare.
Step
4: Ab Apko Ek Popup Open Hoga, Usko Accept Kar Le. Ek Bat Ka Dhiyan Rakhe, Dono
Ke Computer Mai Internet On Hona Jaruri Hai, Internet Ke Jariye He Connect Hota
Hai Nahi Toh Error Ayegi Or Connect Nahi Hoga.
Step 5: Accept Karne Ke Badh Apka PC Connect Ho Jaega Or Apke Computer
Mai Apke Partner Ki Screen Aa Jayegi, Jisko Aap Apne Keyboard Or Mouse Ki Help
Se Control Kar Payege.
Connect
Karne Ke Badh Aap Samne Wale Ka Computer Pura Control Kar Sakte Hai. Es Software
Ka Sabse Acha Use Yahi Hai, Ki Agar Hame Kisi Dusre Ke Computer Mai Kuch Karna
Hai, Kuch Unko Samj Nahi Aa Raha Ya Kuch Karne Ki Problem Aa Rahi Hai, Toh Ham
Eski Madad Se Unko Sari Problem Solve Kar Sakte Hai.
Agar
Acha Connection Chaiye Dono Mai Toh Dono Computer Mai Internet Speed Achi
Hona Jaruri Hai.
Toh
Friends Umid Hai Apko Meri Jeh Jankari Pasand Ai Hogi , Agr Koi Problem Ati Hai
Kuch Karne Mai Toh Muje Comment Kar Sakte Hai....
No comments:
Post a Comment