Payza Kya Hai? Or Esme Account Kaise Banate Hai ! - MRD INFO

Breaking

Wednesday, March 25, 2020

Payza Kya Hai? Or Esme Account Kaise Banate Hai !

http://www.mrdinfo.com


Payza Ek Online Payment Processor Hai Jiske Dwara Ham Online Earn Ki Hui Income Ko Apne Bank Mai Withdraw Kar Sakte Hai Ya Online Shopping Bhi Kar Sakte Hai. Payza Account PayPal Ki Tarh He Kam Karta Hai Or Lagbhag 150 Se Bhi Jeada Countries Mai Log Withdraw Ke Liye Iska Istemal  Karte Hai Or Payza Total 21 Currencies Ko World Wide Support Karta Hai. 

Agar Ap Bhi Kisi Tarh Ka Online Business Karte Hai To Earn Ki Hui Income Ko Payza Ke Duwara Apne Bank Account Mai Withdraw  Kar Sakte Hai. Payza Bahut He Secured Hai. Ab To  Apko Pata Chal Gya Hoga Ki Payza Kya Hai. Toh Jante Hai Payza Mai Account Kaise Banate Hai Or India Mai Payza Ke Account  Ko Verified Kaise Karte.

Payza Mai Account Banane Ke Liye Niche Diye Gaye Steps Ko Follow Kijiye:

Step 1. Sabse Pahle Browser Open Kijiye Or Address Type Kare www.payza.com Fir Enter Press Kare Ya Niche Diye Create Account Button Par Click Kare Ap Automatic Payza Ki Website Tak Pahuch Jaoge.

             Create Account


Note: Jab Ap Payza Account Banate Time Jo Email Id Fill Karte Hai Bahi Apka Payza Ka Account Hota Hai. Jab Apko Kisi Se Money Receive Karni Ho To Apko Sirf Usko Apna Email Id Dena Hota Hai Jis Email Id Se Apka Payza Account Bana Hai.

Step 2. Ab Apke Samne Ek Page Open Ho Jaega Us Mai Sign Up Par Click Kare Uske Badh Ek Or Page Open Ho Jaega Apko Usmai Apna Country Select Karna Hai Jo Apki Country Hai Bho Select Kare. Or Kis Purpose Se Account Banana Chahte Hai Jaise Ki Personal Account Ya Business Mai.

Payza Mai 2 Type Ke Account Hote Hai:
1. Personal Account: Agar Ap Online Earning Ke Liye Account Banana Chahate Hai To Personal Select Kare.
2. Business Account: Agar Apka Koi Business Hai Or Ap Apne Employee Ki Payment Karna Chahate Hai, Online Payment Karna Chahate Hai Toh Business Account  Select Kare.
http://www.mrdinfo.com/



Step 3. Select Par Click Karte  He Ek Form Open Hoga Us Form Mai Apni Sahi Detail Fill Kare Jaise Apna Name, Email Id Or Password Dalkar  Get Started  Par Click Kar De. Niche Image Mai Dikhaye Gye Anusaar.
http://www.mrdinfo.com/


Note- Strong Password Banane Ke Liye Kuch Batto Ka Dhayan Rakhe. Jaise Password Kam Se Kam 10 Digits Ka Ho Or Usmai Small Letter Ke Sath Ek Capital Letter Jaise ABC.., Ek Number Jaise 123..Or Ek Special Character Jaise €£$#@&*..Jarur Ho Esse Apka Account Safe Rahega. Ek Bat Ka Or Dhyan Rakhe Jab Bhi Ap Kisi Chij Ka Password Banaye To Try Kare Password Apse Relative Na Ho Jaise Mobile Number, Date Of Birth Ja Apna Name Etc.

Step 4. Get Started Mai Click Karte He Apka Account Open Ho Jayega. Ab Ap Apna Bank Detail Add Kare Or Pan Card Add Kare. Bank Detail Add Karne Ke Badh Ap Apni Money Ko Apne Bank Account Mai Withdraw Kar Sakte Hai.
http://www.mrdinfo.com/


Aise Ap Apne Online Business  Se Jo Bhi Income Ap Earn Karte Hai Usko Ap Bade Simple Tarike Se Payza Account Mai Transfer Kare Or Fir Payza Se Apne Bank Account Mai Withdraw Kare.

Agr Apko Payza Ke Bare Mai Kuch or Jankari Pushna Chahate Hai To Ap muj Comment Mai Push Sakte Hai.


No comments: