Photoshop Mai Passport Size Photo Banana Bhut Hi Asan Hai Chae Bho Photoshop 7, CS 2, CS 3, C 5 Ho.
Passport Size Photo Ka Use Hume Daily Life Mai Kahi Na Kahi Karna He Padta Hai. Phir Chahe Aap College Student Ho, Koi Employee Ja Phir Aam Aadmi. Lekin Kisi Bhi Photo Studio Ki Shop Par Jake Passport Size Photo Banavane Ke Liye Apko Kafi Paise Dene Padte Hai. Aam Taur Par 4-8 Photos Ke Liye Rs. 50-60 Dene Padate Hai. Lekin Wahi Dusari Aur Hum Khud Photo Banakar Kisi Photo Studio Ki Shop Par Jakar Print Nikalva Sakte Hai. Jis Se Apke Kuch Paise Bhi Bach Jaege Or Apka Jayada Time Waste Hone se Bach Jaega. Toh Hum Es Post mai Janege Ki Ap Apne Ghar Mai Computer/Laptop Mai Photoshop Software Ki Help se Passport Size Photo Kaise Bana Sakte hai Simple Tarike Se.
Photoshop 7.0 Mai Passport Size Photo Banana Sikhenge. Niche Diye Gaye Steps Ko Follow Kijiye:-
STEP.1 Photoshop 7.0 Start Kare File Menu Mai Se Open Pe Click Kare Aur Image Open Karle Jiska Apko Passport Size Photo Banvana Hai.
STEP.2 Image Open Karne Ke Badh Crop Tool Par Click Kijie Uske Badh Crop Tool Ki Properties Mai Width 1.4 Inch, Height 1.9 Inch Resolution 300 Pixels/Inch Set Kijiye.
⇓⇓
⇓⇓
STEP.3 Crop Tool Ki Help Se Ab Photo Ko Drag Kar Lijie Jitni Photo Apko Chaiye Or Mouse Se Right Click Karke Crop Kar Lijie Ab Apki Photo Crop Ho Gai Hai.
STEP.4 Ab Photoshop Ke Tool Se Set Foreground Color Choose Kijie Upar Wala Black Select Kijie Or Niche Wala White Select Kijie Kyuke Hume Phele Photo Ka Black Stroke Dena Hai Or Uske Badh White Stroke Dena Hai Jis Se Hamari Passport Photo Ka Acha Degin Banega. Ab Black Stroke Dene Ke Liye Photo Ab Apne Keyboard Se Control+A Button Press Kijie Jis Se Apki Photo Select Ho Jaegi.
⇓⇓
⇓⇓
STEP.5 Edit Menu Par Click Kijie Or Stroke Button Par Click Kare. Ab Apke Samne Ek Shoti Window Open Hogi Usmai Stroke Ki Width Ka Size Dale 6 Px Dal Dijie. Color Black Select Kar Lijie Jis Color Ka Ap Stroke Dena Chate Hai. Location Mai Center Par Tik Kare. Mode Ko Normal Rakhe Or Opacity 100% Rakhe Or Fir OK Ke Button Par Click Kar Dijie. Ab Apki Photo Ke Charo Tarf Black Stroke Ban Jaega.
⇓⇓
⇓⇓
STET.6 Ab Hume Photo Mai White Stroke Dena Hai. Uske Liye Image Menu Par Click Kijie Or Canvas Size Par Click Kijie.Ab Apke Samne Ek Shoti Window Open Hongi Waha Ap Width Jaha 1.4 Inch Hai Waha 1.5 Inch Fill Kar De Or Height Jaha 1.9 Inch Hai Waha 2 Inch Fill Kar De Or Uske Badh OK Button Par Click Kar Dijie.
⇓⇓
⇓⇓
STEP.7 Jeh Lijie Apki Passport Photo Ban Ke Tyar Ho Gai Hai.
⇓⇓
⇓⇓
STEP.8 Ab Hume Es Jesi Same 8 Photo Ka Pattern Banana Hai. Sabse Pahele Image Menu Mai Click Kijie Or Rotate Canvas Size Mai Click Kijie Or Waha 90 Degree CW Par Click Kar Dijie Es Se Apki Photo Rotate Ho Jaegi.
⇓⇓
⇓⇓
STEP.9 Uske Badh Edit Menu Par Click Kijiye Define Pattern Par Click Kar Dijie.
⇓⇓
⇓⇓
STEP.9 Uske Badh Fer Se File Menu Par Click Kare Ab Hume New Page Lena Jis Page Par Hume Passport Photo Nekalni Hai. Jaise Maine 8 Photo Ka Pattern Banana Hai. Apne Agr Jeada Photo Nekalni Hai Ap Uske Hisab Se Page Ka Size Le Sakte Hai. Jaise Maine 8 Photo Ke Lie 4×6 Inch Page Ka Size Lia Hai.
4×6 Inch MensWidth 4 Inch,
Height 6 Inch,
Resolution 300 Pixels/ Inch,
Mode RGB Color,
Content White Tik Kare Or OK Button Par Click Kar De Ab Apke Samne 4×6 Inch Ka Page Open Ho Jaega.
STEP.10 Ab Edit Menu Par Click Kijie Or Uske Badh Fill Par Click Kijie Apke Samne Ek Shoti Window Open Ho Jaegi. Ab Hume Use Mai Pattern Select Karna Hai. Kyuke Hume Pahele Photo Ka Define Pattern Par Click Karke Pattern Bnaea Tha. Custom Pattern Mai Jo Photo Humne Bnai Hai Use Select Kare. Mode Ko Normal Rakhe Or Opacity 100% Kare Or OK Button Par Click Kar Dijie.
⇓⇓
⇓⇓
STEP.11 Jeh Lijie 8 Photo ban ke tyar ho gai hai.
⇓⇓
⇓⇓
STEP.12 Ab Ap Ese Save As Par Click Karke File Name Dekar Or Format Mai JPEG Select Karke Jis Drive Mai Ja Pen-drive Mai Save Karna Chate Hai. Save Kar Sakte Hai. Badh Mai Ap Kahi Bhi Kisi Photo Studio Wale Ki Shop Par Jakar Usi Time Eska Print Out Nekal Sakte Hai.
⇓⇓
⇓⇓
Agar Apko Fir Bhi Passport Photo Banane Mai Koi Problem Ati Hai Toh Comment Mai Push Sakte Hai....
3 comments:
https://fastsense.blogspot.com/2016/05/make-passport-size-photo-by-photoshop.html?showComment=1512312816708#c5473781591592414705
https://fastsense.blogspot.com/2016/05/make-passport-size-photo-by-photoshop.html?showComment=1512313022764#c514884354880430380
http://www.mrdinfo.com/2017/06/photoshop-me-passport-size-photo-kaise.html
Post a Comment