Free Domain Name Kaise
Kharide Or Apne Blog (Website) Mai Kaise Lagaye? Step By Step
Step 1:- Sabse Pahele Ap www.freenom.com Site Par Jaye Or Direct
Sign In Par Click Kare. Or Ab Apko Niche Gmail Id Se Login Karne Ka Option
Dikhai Dega Ap Apni Gmail Id Se Login Kare. Vaise Toh Google+, Facebook Or Live
Se Directly Ap Login Kar Sakte Hai Par Agr Ap Es Site Mai Gmail Id Se Login Karege
Toh Jayada Acha Rahega. Toh Mai Apni Gmail Id Se Login Ho Jata Hu.
Step 2:- Ab Apko
Simple Ek Option Dekhai Dega Services Ka Us Option
Par Click Kare Or Fir Register A New Domain Ke Option Par Click Kare.
Step 3:- Ab Apko Jis Name Ka Domain Chaiye Ap Us Name Ko Yaha Search Kare For Example Mujhe Technical MRD Site Ka Domain Chaiye To Mai Yaha Par technicalmrd Likh Kar Check Avaliability Ke Option Par Click Karuga.
Step 4:- Ab Apne Jo Name Search Kiya Hai Uska Kuch Domain
Apko Dekhai Dege For Example .tk .ga .ml .cf .gq Apko Jo
Bhi Domain Chaiye Use Select Kare Or Uske Samne Ek Get It Now Ka
Option Hoga Us Par Click Kare.
Or Uske Badh
Simple Check Out Par Click
Kare.
Step 5:- Ab Apko Apke
Domain Ke Samne Ek Option Dekhai Dega Period Ka Yaha Se Ap
Select Kar Sakte Hai Ki Apko Yeh Domain Kitne Month Ke Liye Chaiye Ye Domain 12
Month Tak Ke Liye Free Hai To Mujhe Yeh Domain 12 Months Tak Ke Liye He Chaiye
To Mai 12 Months Select
Karuga. Apko Jitne Months Ke Liye Chaiye Ap Utna Select Kare Par Jayada Se
Jayada Apko 12month Tak Ke Liye Free Milega Or Ab Continue Ke Option Par
Click Kare.
Step 6:- Ab Apko Yaha Par Apni Kuch Details Fill Karni Hai
Ap Apni Detail Fill Kare Or Complete Order Par Click Kare.
Step 7:- Ab Simple Ap Click Here To Go Your Client Area Ke Option Par Click Kare.
Dosto Ab Apne Apna Domain Name Toh Register
Kar Diya Hai. Ab Bari Hai Ki Hum Apne Domain Ko Apne Blog Mai Kaise Jode To
Aiye Ab Mai Apko Puri Detail Mai Bta Deta Hu Ki Free Domain Ko Apne Blog Mai
Kaise Jodte Hai.
Free Domain Ko Apne Blogger Mai Kaise Jode? Step By Steps
Step 1:- Sabse Pahele Ap www.blogger.com Par Login Kare Or Ap Jis Blog Mai Domain Name Add Karna Chahate Hai Use Select Kare Or Ab Dashboard Mai Jaye Or Setting Ke Option Par Click Kare.
Step 2:- Ab Apko Blogger Mai Ek Publishing Ka Option Dikhai Dega Ap
Simple +Set Up A Third Party URL For Your Blog Ke Option Par
Click Kare.
Step 3:- Ab Ap Yaha Apna Free Domain Type Kare For Example Mai technicalmrd.tk Register Kiya Tha To Mai Yaha Par www.technicalmrd.tk Type Karuga. Ek Bat Yaad Rakhe Ki Ap Apne Domain Ke Age www Jarur Lagaye Or Ab Save Par Click Kare.
Step 4:- Ab Ap Jaise He Save Button Par Click Karege To Apko Ek Error Message Aayega Ye Message Es Liye Aayega Kyuki Blogger Ko Yeh Nahi Pata Chal Pa Raha Hai Ki Ye Domain Apka He Hai Toh Eskeliye Hume Apna Domain Verify Karna Padega Tabhi Ye Save Hoga . Toh Ab Hum Sikhege Ki Apna Domain Blog Mai Verify Kaise Karte Hai.
Step 5:- Domain Ko Blogger Mai Verify Karne Ke Liye Apko Apne www.freenom.com Site Mai Login Hona Hai Gmail Id Se Or Uske Badh
Apko Services Mai Click Karke My Domains Ke
Option Par Click Karna Hai.
Step 6:- Ab Apke Samne Register Kiye Hue Domain Aa
Jayege. Ab Apko Apne Domain Name Ke Samne Manage Domain Ki
Option Dekhai Degi Ap Simple Us Option Par Click Kare.
Step 7:- Ab Apko Mange Freenom DNS Ka Option Dekhai Dega
Us Option Par Click Kare.
Step 8:- Dosto
Ab Apko Yaha Par Thoda Jayada Dhyan Se Samjna Hoga. Ab Apko Yaha Ap DNS
Management Ka Option Dekhai Dega Sabse Pahale To Apko Yaha Par Google Ke 4
IP Address Add Karne Hai Jo Ke Niche Ap Dekh Sakte Hai. Jeh IP Address
Sabke Same He Hote Hai.
216.239.32.21
216.239.34.21
216.239.36.21
216.239.38.21
Apko Yeh IP Address Add Karne Ke Liye Simple Apko Yaha Par Target Ka Option Dekhai Dega Usmai Ap 1 IP Address Dale Or Fir Dusra Dalne Ke Liye Ap More Records Ki Option Par Click Kare Or Ek-Ek Karke Charo IP Address Add Kare Or Abhi Apko Save Nahi Karna Hai.
Step 9:- Ab Apko Bus Thoda Sa Kam Or Karna Hai. Jab Apne Apna Domain Blogger Blog Mai Save Kiya Tha Toh Apko Ek Error Aya Tha Jaise Ke Ap Niche Image Mai Dekh Sakte Hai.
Ab Ap Simple Blogger Mai Jakar Apna Domain Name Type Kare Or Redirects Par Tick Kare. Or Ab Save Ke Button Par Click Kare. Agr Ab Bhi Save Nahi Ho Raha Hai Toh Ap 10-15 Bar Bar-Bar Save Ke Button Par Click Kare 100% Save Ho Jayega.
To Dosto
Agar Apko Yeh Post Acha Laga To Ap Hume Comment Karke Bataye Or Agr Apko Kahi
Par Koi Bat Smajh Nahi Aai Hai To Ap Niche Comment Karke Puch Sakte Hai. Dosto
Aise He www.MRDinfo.com Website Se Jude
Rahiye Or Kuch New Sikhte Rahiye Milte Hai Next Post Mai Jai Hind.
Agar Apko Es Post Mai Samaj Na Ae Toh Jeh Video Dekh Sakte Hai.
4 comments:
aapka ye post bahut hi mast laga sir
bahut he badiya article share kiya hai apne.
http://www.onlineknowledgeinhindi.com/domain-kaise-kharide/
bahut he badiya article share kiya hai apne.
Positive site, where did u think of the data on this posting? I'm satisfied I found it however, sick be inquiring soon to discover what extra posts you incorporate. domain age checker
Post a Comment