How to Download Aadhar Card |
Hello Dosto Agr Apka Aadhar Card Kahi Kho Gya Hai Ja Ghum Ho Gya Hai. Ap Original Aadhar Card Kaise Download Kar Sakte Hai. Mai Aj Apko Es Article Mai Batane Ja Raha Hoon. Toh Ap Es Article Ko End Tak Pura Read Kijiye Or Niche Diye Gaye Steps Ko Follow Kijiye:-
Note:- Dosto Jeh Method Tabhi Kam Karega Agar Apka Mobile Number Apke Aadhar Card Ke Sath Link Hai.
Step 1:- Sabse Pahele Ap Apne Computer/Laptop Browser Mai www.Uidai.Gov.In Es Website Ko Open Kare Uske Badh Apko Ek Option Dekhai Dega Download Aadhar Jaise Ke Niche Image Mai Dekhaea Gaya Hai. Download Aadhar Option Par Click Kare.
Step 2:- Download Aadhar Par Click Karne Ke Badh Apke Samne Ek Form Type Ka Page Open Ho Jayega. Ab Apko Aadhar Ke Samne Radio Button Par Click Karna Hai. Jesa Ki Image Mai Dekhaea Gaya Hai. Es Form Ko Dhean Se Fill Kare.
Step 3:-
1. 12 Digit Ka Apna Aadhar Number Enter Kare.
2. Apna Pura Nam Jaisa Ki Aadhar Card Mai Likha Hai Enter Kare.
3. Aadhar Card Banate Time Jo Pin Code Apne Diya Tha Vahi Enter Kare.
4. Apko Upar Image Mai Captcha Dekhai De Raha Hoga Us Captcha Ko Box Enter Kare.
5. Get One Time Password Button Par Click Kare. Click Karne Ke Badh Esa Ek Box Open Hoga. Jaise Ki Niche Image Mai Dekhaea Gaya Hai.
Apko Apke Mobile Number Ke End Ke 4 Digit Dekhai Dege Jo Apka Mobile Number Apke Aadhar Card Ke Sath Link Hai. Fir Apko Confirm Button Par Click Karna Hai.
6. Confirm Button Par Click Karte He Apke Mobile Number Par OTP (One Time Pin) Ayega Use Enter Kare Aadhar Duwara Bheja Gaya Ek Code Hai Jiski Validity Sirf 15 Min Ki Hoti Hai.
Step 4:- OTP Code Dalne Ke Badh Submit Button Par Click Karte He Apka Aadhar Card Download Ho Jayega. Jese Ap Mobile Ja Computer Ke Downloads Mai Dekh Sakte Hai Fir Ap File Par Click Kare.
Step 5:- Aadhar Card Ki File Jaise Ap Click Karege To Apse Password Maga Jayega To Apne Capital Mai Apne Nam Ke Mohrle 4 Character Or Sath Apni Date Of Birth Ka Year Dale Example:-
Jaise Ki Mera Nam Rajinder Singh Or Date Of Birth Ka Year 1990 Hai To Mai RAJI1990 Jeh Daluga Uske Badh Submit Button Par Click Kar De. Uske Badh Ap Apne Aadhar Card Ko Open Karke Dekh Sakte Hai Or Uska Color Print Out Niklva Sakte Hai.
Fir Bhi Agar Apko Aadhar Card Download Karne Mai Koi Problam Ati Hai To Hume Comment Mai Push Sakte Hai. Agar Apko Article Acha Laga To Age Apne Friends Ke Sath Share Jarur Kare...
No comments:
Post a Comment