F1:-
1. Agar Computer ja Laptop ko On karte he F1 Daba Denge Toh Computer ka Setup (CMOS) Open Ho Jayega, Jis Mai Computer ja Laptop Setting Ko Dekha Or Change Kiya Ja Sakta Hai.
2. Agar Apne Windows Open Kar Liya Hai, Toh F1 Key Ko Dabane Par Windows Help and Suport Dialoge Open Honga, Jis Mai Kai Problem Solution Btaye Gaye Hai.
3. Agar Ap Internet Explorer Browser Mai Kam kar Rahe Hai, Toh F1 Key Dabane Se Browser Ka Help Page Khulega.
4. Chrome Browser Mai F1 Key Dabane Par Chrome Browser Ka Help Center Khul Jayega.
5. Microsoft Word Mai Contrl+F1 Dabane Par Software Full Screen Mode Mai Chala Jayega. Fir Se Dabane Par Dubara Samane Ho Jayega.
F2:-
1. Windows Mai Kisi File, Icon Ja Folder Par Click Karne Ke Badh F2 Dabane Par Usse Forn Rename Kia Ja Sakta Hai.
2. Microsoft Word Mai Ctrl+F2 Dabane Se Print Prevew Khulega, Jo Dekhata Hai Ki Apka Document Print Hone Par Kaisa Dekhega.
3. Microsoft Word Mai Alt+Ctrl+F2 Ko Dabane Par File Open Dialoge Box Open Ho Jayega.
F3:-
1. Windows Mai F3 Key Dabane se Search Box Open Ho Jayega, Jiska Use Files Or Folders Ko Khojne ke Liye Kar Sakte Hai.
2. Microsoft Word Mai Shift+F3 Dabane Par English ka Select Kia Hua Metter Upper Case Ja Lower Case Mai Change Kia Ja Sakta Hai.
3. Microsoft Dras Ja Command Prompt Window Mai F3 Key Dabane Par Pehle Type Ki Gi Command Dubara Type Ho Jati Hai.
F4:-
1. Windows Explorer Mai F4 Key Dabane Se Address Bar Open Ho Jayega. Internet Explorer Mai Bhi Website Ka Pata Dalne Ke Liye Address Bar Open Hoti Hai.
2. Microsoft Word Mai F4 Key Dabane Par Bahi Kam Repeat Ho Jayega, Jo Apne Abhi Abhi Kiya Tha.
3. Alt+F4 Ko Dabane Par Software Band Ho Jayega Jo Apne Abhi Khola Hua Hai.
4. Ctrl+F4 Dabane Par Kisi Software Ke Ander Open Ki Gai Windows Mai Se Mojud Window Band Ho Jayegi. Example:- Jaise Internet Explorer Mai Open Kaai Tab Mai Se Ek Tab Band Ho Jayega Ja World Mai Open Hui Kai File Mai Ek File Close Ho Jaegi.
F5:-
1. F5 Key Jeh Refresh Ke Tor Par Kam Karta Hai. Window Mai Kaai Folder Copy Hone Ke Vad Dekhai Nahi De Raha, Toh F5 Key Dabaye, Dekhne Lagega. Internet Browser Mai Dekh Rahe Web Pages Ko Refresh Ja Reload Karne Ke Liye Jeh Bahut Helpful Hai.
2. Microsoft Word Mai F5 Key Dabane Par Find And Replace Dialoge Open Ho Jata Hai.
3. Powerpoint Mai F5 Key Dabane Par Slide Show Chalu Ho Jata Hai.
4. Microsoft Excel Mai Shift+F5 Dabane Par Find And Replace Suvida Khulti Hai.
5. Photoshop mai F5 Key Dabane Par Kaai Type Ke Brush Show Ho Jate Hai, Jismai Se Apki Pasand Ka Brush Use Kia Ja Sakta Hai.
F6:-
1. F6 Key Dabane Par Windows Taskbar Mai Open Hue Folders Ka Data Dekhne Lagta Hai.
2. Internet Browser Mai F6 Key Dabane Pe Curser Address Bar Mai Chala Jata Hai Or Ap Forn Web Address Type Kar Sakte Hai.
3. Agar Microsoft Word Mai Kaai Tab Open Hai, Toh Unhe Ek-Ek Karke Dekhne Ke Liye Ctrl+Shift+F6 Ka Use Kar Sakte Hai.
F7:-
1. Microsoft Word Mai Koi Documet Type Karne Ke Vad Agar F7 Key Dabayege Toh Uski Spelling Check Honi Start Ho Jayegi.
2. Internet Explorer Mai F7 Key Dabane Par Caret Browsing Suvida Start Ho Jati Hai, Jiska Use Keyboard Ke Jariye Web Pages Par Text Select Karne or Agge Pishe Jane Ke Liye Kiya Ja Sakta Hai.
F8:-
1. Agar Cmputer Ja Laptop Start Karte Time F8 Key Daba Denge, Toh Operating System Ko Khojne Ke Liye Kaai Mode Dekhai Denge, Jismai Safe Mode Or Command Prompt Bhi Shamil Hai.
2. Microsoft Word Mai Alt+F8 Dabane Par Macro Tyar Karne Ki Suvida Shuru Ho Jati Hai, Jiske Jariye Baar-Baar Kiye Jane Vale Kammo Ko Karne Ke Liye Shote-Shote Sathai Record Kiye Ja Sakte Hai.
3. Microsoft World Mai Text Ko Select Karne Ke Liye F8 Key Ka Use Kia Ja Sakta Hai.
F9:-
1. F9 Key Ka Use Microsoft Outlook Mai Email Send Or Recive Ke Liye Kiya Jata Hai.
2. F9 Key Dabane Se Management Toolbar Open Ho Jata Hai.
3. Kush Laptop Mai F9 Key Dabane Pe Screen Ki Bretness Ko Control Kiya Ja Sakta Hai.
F10:-
1. Koi Bhi Software Mai Kam Karte Time F10 Key Ko Dabane Par Menu Bar Open Ho Jata Hai, Jaise Apne Vaha Click Kiya Ho.
2. Shift+F10 Ko Sath Dabane Se Thik Vesa Asar Hota Hai Jaise Mouse Ke Right Click Ka. Kisi Icon, File Ja Internet Explorer Mai Kisi Link Par En Keys Ko Dbakar Dekhe Context Menu Khul Jayegi.
3. Ctrl+F10 Ka Use Microsoft Word Ki Window Ka Size Minimize or Maximize Karne Ke Liye Kiya Ja Sakta Hai.
F11:-
1. Internet Explorer, Chrome Etc Browsers Mai Full Screen Ko Shoti or Badi Karne Ke Liye Ese Ajmaye.
2. Alt+F11 Ko Dabane Par Microsoft Office Ke Softwares Mai Visul Basic Code Window Open Ho Jati Hai, Jiska Use Expert User Karte Hai.
F12:-
1. Microsoft Word Mai F12 Dabane Par Save As.. Dialoge Box Khul Jata Hai.
2. Shift+F12 Se Microsoft World Ka Document Save Ho Jata Hai.
3. Cnrl+Shift+F12 Se Microsoft Word Mai Khula Document Print Ho Jata Hai.
No comments:
Post a Comment